Sunday 8 February 2015


चाँद- सितारों  में हैं क्या चर्चे चलकर  देखा जाये
ज़मीं का आसमाँ से कभी दिल बदलकर देखा जाये

क़िताबी  इल्म  नहीं  यारो तज़रबा अपना है मेरा
बेहतर  है दुनियाँ को घर से निकलकर देखा जाये

वही  धूप  हवाएँ  वही  मिट्टी  है उस घर में भी
इन  बीच  की दीवारों  से उपर उठकर देखा जाये

झूठ नहीं ये  सच कहेगा  दिल हमेशा खुश रहेगा
आ  ज़िंदगी  के  आईने  में  सँवरकर देखा जाये

मिलती हूँ जब भी पापा से तब तब जी में आता है
बच्चों  की  तरह क्यूँ ना आज मचलकर देखा जाये

यहाँ  इनसां- इनसां को बनाया ज़िंदगी को ज़िंदगी
दर्द-ओ-गम  को  भी हमेशा मुस्कुराकर देखा जाये

अब कितनी बदलें चाल देखकर रास्तों के हाल'सरु'
इन राहों के हर मोड़ पर रुक- रुक कर देखा जाये


Chand-sitaaroN meiN haiN kya charche chalkar dekha jaye
ZameeN ka aasmaaN se kabhi dil badalkar dekha jaye

KItaabivv ilm nahiN yaaro tazarba apna hai mera
Behtar hai duniaN ko ghar se nikalkar dekha jaye

Wahi dhoop hawayeN wahi mitti hai uss ghar meiN bhi
Inn beech ki deewaroN se uar uthkar dekha jaye

Jhooth nahiN ye sach kahega dil hamesha khush rahega
Aaa zindagi ke aaine meiN sanwarkar dekha jaye

Milti hooN jab bhi papa se tab tab jee meiN aata hai
BachhoN ki tarha kyun na aaj machalkar dekha jaye

YahaaN insaaN-InsaaN ko banaya zindagi ko zindagi
Dard-o-gham ko bhi hamesha muskurakar dekha jaye


Ab kitni badleiN chal dekhkar raastoN ke haal ‘saru”
In  raahoN ke har mod par ruk- ruk kar dekha jaye

No comments:

Post a Comment