Sunday 8 February 2015


क्या कहूँ किसी एक को दिल ये ज़रा-ज़रा सबने तोड़ा
कुछ थे  मेरे  अपने  और  ज़रा- ज़रा  रब ने तोड़ा

देखा  है जब  भी ग़ौर से  इनसां  को  मैने किसी
साफ़  नज़ारे  देखना  इन  आँखों  के ढब ने तोड़ा

ख़्वाब  कहाँ  पलकों  के  लिये  गर  हैं नींदें गहरी
है कौन  नहीं  वाक़िफ़  ख्वाबों को मतलब ने तोड़ा

दम  टूटता  ना  था या रब  रिश्ता  छूटता ना था
माहौल  अमन का हाय  गुस्ताख  उस लब ने तोड़ा

बंद  डिब्बे  का  सामां  मुझे मिला कीड़ों के साथ
देखिए  नफ़रत  का  गुरूर ख़ुश्बू की छब ने तोड़ा

शर्म-ओ-हया का बोझ 'सरु'रहेगा सर पे कब तक
जानती  हूँ ये  कि  मेरी जात  को अदब ने तोड़ा

छोड़े  थे  वहाँ मैनें  तो  महके  हुए  लफ्ज़  कुछ
भरम  दिल  का  मेरे    उनके हाय सबब ने तोड़ा



Kya kahoon kisi ek ko dil ye zaraa zaraa sab ne todaa
Kuch the mere apne aur zaraa zaraa rab ne todaa

Dekha hai jab bhi gaur se insaaN ko maine kisi
Saaf nazaare dekhna inn aankhoN ke dhab ne todaa

Khwaab kahan palkoN ke lye gar haiN neendeiN gehri
Hai kaun nahiN waqif khwaaboN ko matlab ne todaa

Dam toot tan a tha ya rab rishta choot ta  na tha
Mahaul aman ka haye khaamosh us lab ne todaa

Band dobbe ka saamaaN mujhe mila keedoN ke saath
Dekhiye nafrat ka guroor khushboo ki chhab ne todaa

Chhode the wahaan maine to mehke hue lafz kuch
Bharam dil ka mere unke haye sabab ne todaa

Sharm-o-hayaa ka bojh ‘saru’rahega sar par kab tak
Janti hooN ye ki meri jaat ko adab ne todaa

No comments:

Post a Comment