Sunday 8 February 2015


ये  मोहब्बत  है पनाह  में  नहीं रहती
बहुत देर  ख़ुश्बू गुलाब में  नहीं  रहती

बिखर जाती हूँ कागज पर बन के मोती
मैं   सियाही  हूँ  दवात  में नहीं रहती

आती है खुद मोहब्बत चलकर  यहाँ तक
शीरीं ज़बान किसी तलाश में नहीं रहती

ज़िक्र होता है  गुलशन  फूल हवाओं का
मगर ख़ुश्बू  कभी क़िताब में  नहीं रहती

बिखर जाने के हुनर से है वजूद  मिरा
रोशनी  हूँ  में  चिराग़  में नहीं रहती

गिरते  को  गिराये  चढ़ते  को चढ़ाये
जानूं  हूँ  दुनियाँ हिसाब में नहीं रहती

आँख खुली बदले मंज़र तो पाया'सरु' ने
हक़ीक़त की दुनियाँ ख़्वाब में नहीं रहती





Ye  mohabbat  hai panaah mein nahiN  rehti
Bahut der khushboo Gulaab mein nahiN rehti

Bikhar jaati  hoon kaagaj par ban ke moti
meiN siyaahi hooN dawaat mein nahiN rehti

Aati hai khud  mohabbat chalkar yahaN  tak
ShiriN zabaaN kisi talaash mein nahiN rehti

Zikr hota hai gulshan phool hawaaoN ka
Magar khushboo kabhi qitaab mein nahiN rehti

Bikhar jaane ke vujood se hai hunar mera
Roshni hooN meiN chiraag mein nahiN rehti

Girte ko giraaye chadhte ko chadhaye
janooN hooN duniaN hisaab mein nahiN rehti

Aankh khuli badle manjar to paya ‘saru’ ne
Haqiqat ki duniaN khwaab mein nahiN rehti

No comments:

Post a Comment