Saturday 3 January 2015

खुशियों  के अब  जाने कहाँ घराने हो गये
इस दिल को मुस्कुराए हाय ज़माने हो गये

नज़र रह गई तकती मौसम-ए-बरसात को
बादलों के जाने अब  कहाँ ठिकाने हो गये

उम्र के ख़ाते में हाय दिन हज़ारों जुड़ गये
ज़िंदगी के मायने बस दिन बिताने हो गये

जुनूं की मर्ज़ी मंज़िल पर ले जाये किसको
राह-ए-उलफत पर कितने दीवाने हो गये

हम आज तक ना समझे क्या हैं चालाकियाँ
बच्चे 
भी  इस दौर के  बहुत सयाने हो गये


हो गया हम-दर्द  कोई  जब  दर्द  में  शामिल
दर्द- भरे   गीत  भी   मीठे   तराने  हो  गये

दिल-ए-सरु की हलचल का अंदाज़ नहीं उसको
लब  खुले  भी   नहीं  और  अफ़साने  हो गये


Khushiyon ke ab jaane kahan gharaane ho gaye
Issa dil ko muskuraaye haaye zamaane ho gaye

Nazara reh gai tak-ti mausam-e-barsaat  ko
Baadalon ke jaane ab kahan thikane ho gaye

Umra ke khate mein haye din hazaaron jud gaye
Zindagia ke  maayne bas din abitaane aho gaye

Junooon ki marzi manjil par le jaye jisko
Raah-e-ulfat apara kitne deewaane ho gaye

Ham aaj tak naa samjhe kyaa hain chalakiyan
Bachhe bhi iss daur ke bahut sayaane ho gaye

Ho gaya hamdard  koi jab dard mein shamil
Dard-bhare geet bhi meethe taraane ho gaye

Dil-e-saru ki halchal ka andaaz nahin usko
Lab  khule  bhi nahin aur afsaane ho gaye

No comments:

Post a Comment