Monday 5 January 2015

सिवा  तिरे  मेरी दुनियाँ में कोई  कमी  नहीं है
जब  उठा  है कदम तो पाँव  तले ज़मीं  नहीं है

यूँ  मीठे  गीत  गाते  हो ज्यों  गाती  है  हयात
कोई साज़- ओ- आवाज़ ऐसा दिलनशीं  नहीं है

तिरी  आँखों  के समंदर  में  हैं  भंवर  बेहिसाब
बचकर आ जाए कोई इसका मुझको यकीं नहीं है

हां  तुम  जहाँ जाओगे  तस्वीर-ए-वफ़ा  पाओगे
निगाह-ए-जहाँ कोई तिरी  आँख  से  हसीं नहीं है

चले बादा-ए-शसीम  तुझसे  महक जाएँ  फ़िज़ाएं
जन्नत  है  तुम हो जहाँ  और तो कहीं  नहीं है

तक़दीर की लकीरों  में नहीं  तो  वो  मिले  कैसे
हालात ही कहते हैं  कि इनका कोई  मकीं नहीं है

अब भी उलफत से छलके है पैमाना-ए-दिल उसका
आज भी'सरु'की ख़ातिर कोई  चीन-ए-ज़बीं नहीं है

bada-e-shaseem-----mehakati hawaa
cheen-e-zabeen------maathe ka shikan



Siwaa tere  meri  duniaN meiN koi kami nahiN hai
Jab utha hai kadam ti panw tale zameeN nahiN hai

Yun meethe geet gaate ho jyuN gaati hai hayaat
Koi  saaz-o-aawaaz aisa dil -nasheeN nahiN hai

Teri aankhoN ke samandar meiN haiN bhanwar behisaab
Bachkar aa  jaaye koi iska mujhko yakeeN nahiN hai

HaaN  tum  jahaaN jaaoge  tasveer-e-wafaa  paaoge
Nigah-e-jahaaN koi teri aankh se haseeN nahiN hai

Chale baadaa-e-shaseem tujhse mehak jayeN fizayeN
Jannat  hai  tum ho jahaaN aur to kahiN nahiN hai

Taqdeer ki  lakeeroN  meiN nahiN to vo mile kaise
Haalat hi kehte haiN ki Inka koi makeeN nahiN hai

Ab  bhi ulfat se chhalke  hai  paimaanaa-e-dil uska
Aaj bhi'saru’ki khaatir koi cheen-e-zabeeN nahiN hai

No comments:

Post a Comment