Sunday 4 January 2015

खुदा तो नहीं देखा पर एहसास मिलता रहा है
पिता  बन  के मेरे साथ  हमेशा चलता रहा है

न दिखा सके किसी रात में ख़ौफ़ अंधेरे मुझको
एक शख़्स दीया बन के हर पल जलता रहा है

अपनी तमाम हसरतों का क़त्ल किया उसने मगर
लेकर  मुझे  इक़  ख़्वाब  आँखों में पलता रहा है

लड़खड़ाते  कदमों  को वो ताक़त संभालती रही
साया बन के मिरे साथ पल पल चलता रहा है

मुश्किलों से लड़ता रहा वो अंदर ही घुलता रहा
मेरे  लिए  लेकिन  मुस्कान भरा चेहरा रहा है

ना शिकन ज़बीन पर कभी वो हौसला देखा मैंने
बन  रहनुमा  मेरे  चाक  गरेबां सिलता रहा है

बस  ज़िंदगी  वही  थी जो तेरी छाया में जी ली
बाद-ए-ज़िंदगी दिल-ए-सरु धूप में जलता रहा है



Khuda to nahin dekha par ehsaas uska milta rahaa hai
Pitaa  ban ke mere  saath hameshaa chalta  rahaa hai

Na dikha sake kisi raat mein khauf andhere mujhko
Ek shakhs deeya ban kea har pal jaltaa  rahaa hai

Apni tamaama hasraton kaa  katl  kiyaa usne  magar
Lekar mujhe ik khwaab aankhon mein palta rahaa hai

Ladkhadaatea kadmon ko vo taaqat  sambhalti rahi
Saya ban ke mere saath pal- pal chalta rahaa hai

Mushkilon se ladta raha vo ander hi ghulta rahaa
Mere liye lekin muskaaan bharaa chehra rahaa hai

Naa shikana zabeena par vo hausla dekhaa maine
Ban rehnuma mere chak girebaan silta rahaa hai

Bas  zindagi vahi thi jo teri chhaayaa mein jee lee
Baad-e-zindagi dil-e-saru dhoop mein jalta rahaa hai

No comments:

Post a Comment