Sunday 4 January 2015

चलो  आज ये बात  भी  आर-पार हो जाये
दुश्मन  दुश्मन  ही  रहे यार -यार हो जाये

ये जो उछालते  हो गिरा- गिरा के उठाते हो
कहीं ऐसा न हो की दिल ज़ार-ज़ार हो जाये

नज़र नज़र से मिलती इस क़दर कि दरमियाँ
अगरचे  हो परदा  भी  तार-तार  हो  जाये

हरगिज़ ना कहिए हाय महफ़िल में ऐसी बात
निकली जो ज़बान से तो खार-खार हो जाये

जो धड़का गया हाय दिल को धमाके जैसा
वही  हादसा  क्यूँ  ना बार- बार हो जाये

देखूं  कहाँ  कहाँ से  और क्या- क्या देखूं
मिरी उनसे  जब  नज़रें  चार-चार हो जाये

माना जीतने का मज़ा ही कुछ और है'सरु'
गले  पड़कर  खूबसूरत  हार- हार हो जाये



Chalo  aaj  ye  baat bhi aar- paar ho jaye
Dushman dushman hi rahe yaar- yaar ho jaye

Ye jo uchalte ho gira -gira ke  uthate ho
Kahin aisa na  ho ki dil zar- zar ho jaye

Nazar nazar se milti iss kadar ke darmiyan
Agarche ho parda bhi taar -taar ho jaye

Hargiz na kahiye haye mehfil mein aisi baat
Nikli jo zabaa se to khaar- khaar ho jaye

Jo dhadkaa  haaye dil ko  dhamaake jaisa
Wahi haadisa kyun naa baar - baar ho jaye

Dekhun kahaan kahaan se aur kya kya dekhun
Meri unse jab  nazrein char- char ho jaye

Mana jeetne ka maza hi kuch aur hai’ saru’
Gale padkar khoobsoorat haar- haar ho jaye

No comments:

Post a Comment